Ada Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka

ada se dekh lo jata rahe gila dil ka

bas ek nigah pe Thera hai faisla dil ka

wo zulm karte hain mujh par to log kahte hain

KHuda bure se na Dale moamla dil ka

phira jo kucha-e-kakul se koi puchhenge

suna hai luT gaya raste mein qafila dil ka

hazar fasl-e-gul aae junun wo josh kahan

gaya shabab ke hamrah walwala dil ka

bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua

hazar haif ki nikla na hausla dil ka

ilahi KHair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai

tapak raha hai kai din se aabla dil ka

KHuda ke hath hai ab apna ai 'qalaq' insaf

buton se hashr mein hoga muqabla dil ka

(1234) Peoples Rate This

Aaftaab-ud-Daula Lakhnavi Qalaq's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ada Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka In English By Famous Poet Aaftaab-ud-Daula Lakhnavi Qalaq. Ada Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka is written by Aaftaab-ud-Daula Lakhnavi Qalaq. Read famous Poem Ada Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka for youth and Student by Aaftaab-ud-Daula Lakhnavi Qalaq. Free Download Ada Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka in PDF.