Ho Gae Aangan Juda Aur Raste Bhi BaT Gae

ho gae aangan juda aur raste bhi baT gae

kya hua ye log kyun ek dusre se kaT gae

gham ne har ek raste mein khol rakkha tha mahaz

hum bhi chehre par hansi ka KHol le kar DaT gae

nafraton ki dhup jhulsane lagi har shaKHs ko

pyar ke us shahr mein sab peD kaise kaT gae

Dar ki jab sari haqiqat munkashif hum par hui

KHud-baKHud Dar ke sabhi sae achanak haT gae

kaun jaane kis nasheman par giri hain bijliyan

kis taraf TuTe hue taron ke ye jhurmaT gae

mo'atabar hone lagin jab bazm mein tarikiyan

KHamushi ki oT mein hum log pichhe haT gae

ghar se ai 'anjum' zara bahar nikal kar dekhna

log kahte hain ki ab tarik baadal chhaT gae

(1357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Gae Aangan Juda Aur Raste Bhi BaT Gae In English By Famous Poet Aanand Saroop Anjum. Ho Gae Aangan Juda Aur Raste Bhi BaT Gae is written by Aanand Saroop Anjum. Read famous Poem Ho Gae Aangan Juda Aur Raste Bhi BaT Gae for youth and Student by Aanand Saroop Anjum. Free Download Ho Gae Aangan Juda Aur Raste Bhi BaT Gae in PDF.