Main Dar Raha Hun Har Ek Imtihan Se Pahle

main Dar raha hun har ek imtihan se pahle

mere paron ko hua kya uDan se pahle

mere nasib mein raston ki dhul likkhi thi

na mil saki mujhe manzil takan se pahle

ye kaun shaKHs tha chaalak kis qadar nikla

ki baat chheD gaya darmiyan se pahle

main us ke dard ka darman to jaanta tha magar

wo kuchh to bolta apni zaban se pahle

tum us ke ghar ki taraf chal paDe to ho lekin

koi paDaw nahin aasman se pahle

khaDa hun aaj main 'anjum' yaqin ki sarhad par

ajib karb mein gum tha guman se pahle

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dar Raha Hun Har Ek Imtihan Se Pahle In English By Famous Poet Aanand Saroop Anjum. Main Dar Raha Hun Har Ek Imtihan Se Pahle is written by Aanand Saroop Anjum. Read famous Poem Main Dar Raha Hun Har Ek Imtihan Se Pahle for youth and Student by Aanand Saroop Anjum. Free Download Main Dar Raha Hun Har Ek Imtihan Se Pahle in PDF.