Nae Zamane Ke Nit-nae Hadsat Likhna

nae zamane ke nit-nae hadsat likhna

udas phulon ki zard patton ki baat likhna

falak darichon se jhankte KHushnuma manazir

zamin pe be-zariyon mein lipTi hayat likhna

thakan ka ehsas ho to kar lena yaad us ko

adhure KHwabon ki sar-phiri kaenat likhna

siyahi kis ne bikher di kore kaghazon par

ki ujle alfaz kha gae kaise mat likhna

ye kaun us ki kahaniyan phir suna raha hai

kahan se aai hai KHushbuon ki baraat likhna

andhere raste mein raushni ki sada se pahle

ye kis ne kandhe pe rakh diya apna hat likhna

ujale farda ke DhunDhti hain thaki nigahen

ye kin hisaron mein qaid hai apni zat likhna

bhaTak gai hai chahaar samton mein soch kyun kar

ki zehn-o-dil par laga gaya kaun ghat likhna

kalam tera fasurda chehron ka aaina ho

tu apne ashaar mein har ek dil ki baat likhna

use ye zid thi ki din ko likhun main raat 'anjum'

mujhe na manzur tha kabhi din ko raat likhna

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nae Zamane Ke Nit-nae Hadsat Likhna In English By Famous Poet Aanand Saroop Anjum. Nae Zamane Ke Nit-nae Hadsat Likhna is written by Aanand Saroop Anjum. Read famous Poem Nae Zamane Ke Nit-nae Hadsat Likhna for youth and Student by Aanand Saroop Anjum. Free Download Nae Zamane Ke Nit-nae Hadsat Likhna in PDF.