Uske Chehre Pe Tabassum Ki Ziya Aaegi

us ke chehre pe tabassum ki ziya aaegi

wo mujhe yaad karega to haya aaegi

oDh kar jism pe yaadon ki rida aaegi

jab bhi mazi ke jharokon se hawa aaegi

kaun mazlum ki fariyaad sunega na-haq

lauT kar dasht mein KHud apni sada aaegi

kis qadar bikhra hua hun main bichhaD ke tujh se

yaad ab kis ki mujhe tere siwa aaegi

band kamron mein kisi ko bhi ye ehsas na tha

dar khulenge to bahut tez hawa aaegi

ghair-manus fazaon mein to KHush hun lekin

jaane kis moD pe manus faza aaegi

nam to apna gunahgaron ki fihrist mein likh

tere hisse mein bhi rangin qaba aaegi

zindagi sab se juda guzregi apni 'anjum'

maut bhi aai to wo sab se juda aaegi

(1199) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Chehre Pe Tabassum Ki Ziya Aaegi In English By Famous Poet Aanand Saroop Anjum. Uske Chehre Pe Tabassum Ki Ziya Aaegi is written by Aanand Saroop Anjum. Read famous Poem Uske Chehre Pe Tabassum Ki Ziya Aaegi for youth and Student by Aanand Saroop Anjum. Free Download Uske Chehre Pe Tabassum Ki Ziya Aaegi in PDF.