Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin Hui Mujhse

bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin hui mujh se

kahani aur asar-afrin hui mujh se

main ek sitara uchhaala to nur phail gaya

shab-e-firaq yunhi dil-nashin hui mujh se

gulab tha ki mahakne laga mujhe chhu kar

kalai thi ki bahut marmarin hui mujh se

baghal se sanp nikale to ho gaya badnam

KHarab achchhi tarah aastin hui mujh se

kahan se aai hai KHushbu mujhe bhi hairat hai

ye raat kaise gul-e-asmin hui mujh se

main apne phul khilae hain us ki jhaDi par

qaba-e-yar bahut reshmin hui mujh se

bas ek bosa diya tha kisi ke mathe par

tamam-shahr ki raushan jabin hui mujh se

ghazal suni to bahut dil se KHush hua 'atif'

magar ghazal ki sataish nahin hui mujh se

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin Hui Mujhse In English By Famous Poet Aatif Kamal Rana. Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin Hui Mujhse is written by Aatif Kamal Rana. Read famous Poem Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin Hui Mujhse for youth and Student by Aatif Kamal Rana. Free Download Bahaar-e-zaKHm-e-lab-e-atishin Hui Mujhse in PDF.