Kya Kijiye Raqam Sanad-e-ehtisham-e-zulf

kya kijiye raqam sanad-e-ehtisham-e-zulf

hai daftar-e-jamal pe tughra-e-lam-e-zulf

KHidmat ho ghaza-e-gul-e-ruKH ki nasim ko

mauj-e-hawa chaman mein kare intizam-e-zulf

fasl-e-bahaar aai junun-KHez dekhiye

saudaiyon ko aane lage phir payam-e-zulf

muzi jo sar chaDha to bana mar-e-astin

sar pe na chahiye tha buton ke maqam-e-zulf

sauda-e-zulf chin-e-jabin ne miTa diya

taraj chiniyon ne kiya aa ke sham-e-zulf

kab husn-e-arzi pe laTakti hai subh-o-sham

islam par hai tan se har-dam salam-e-zulf

chhuT ke uTha rahe hain asiran-e-dam-e-zulf

aaram ab kahan dil-e-wahshi hai ram-e-zulf

baalon ko apne tum ruKH-e-raushan pe chhoD do

phenko miyan-e-chashma-e-KHurshid dam-e-zulf

taqrir kyun na uljhi hui bar zaban rahe

hai dars mein risala-e-ilm-e-kalam-e-zulf

diwane hum hain gardish-e-lail-o-nahaar ke

hai subh subh ru-e-pari-sham sham-e-zulf

paya siyah-baKHti-e-ushshaq ne bhi auj

firoza-e-falak pe kiya kunda nam-e-zulf

zulfen hawa se kab ruKH-e-ariz pe aa gain

hai sabza-e-bahaar ke munh mein lagam-e-zulf

aae siyah-dil hain raqibon ke us pe 'mehr'

poshish mein hai abas haram-e-ehtiram-e-zulf

(1004) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kijiye Raqam Sanad-e-ehtisham-e-zulf In English By Famous Poet Abdullla Khan Mehr Lakhnavi. Kya Kijiye Raqam Sanad-e-ehtisham-e-zulf is written by Abdullla Khan Mehr Lakhnavi. Read famous Poem Kya Kijiye Raqam Sanad-e-ehtisham-e-zulf for youth and Student by Abdullla Khan Mehr Lakhnavi. Free Download Kya Kijiye Raqam Sanad-e-ehtisham-e-zulf in PDF.