Mizhgan Ne Roka Aankhon Mein Dam Intizar Se

mizhgan ne roka aankhon mein dam intizar se

uljhe hain KHar daman-e-baad-e-bahaar se

matlab KHizan se hai na gharaz hai bahaar se

hum dil uTha chuke chaman-e-rozgar se

ye gul khila na lala-ruKHon ke firaq mein

hum dagh le chale chaman-e-rozgar se

bismil jo hain to hum hain taDapte jo hain to hum

wo KHush hain said-gah mein sair-e-shikar se

aaghaz-e-ishq hai wo baDhate hain rasm-o-rah

hum dil mein KHauf karte hain anjam-e-kar se

un ko hua jo nashsha-e-mai meri ban paDi

parda khula na daman-e-mauj-e-KHumar se

kalkatta se bhi kijiye hasil koi to ilm

sikhenge sehr-e-samri hum chashm-e-yar se

ai 'mehr' ye ghazal wo pur-ejaz-o-garm hai

'atish' agar sune nikal aae mazar se

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mizhgan Ne Roka Aankhon Mein Dam Intizar Se In English By Famous Poet Abdullla Khan Mehr Lakhnavi. Mizhgan Ne Roka Aankhon Mein Dam Intizar Se is written by Abdullla Khan Mehr Lakhnavi. Read famous Poem Mizhgan Ne Roka Aankhon Mein Dam Intizar Se for youth and Student by Abdullla Khan Mehr Lakhnavi. Free Download Mizhgan Ne Roka Aankhon Mein Dam Intizar Se in PDF.