Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum

yaqin hai ki guman hai mujhe nahin malum

ye aag hai ki dhuan hai mujhe nahin malum

ye har taraf hai koi mahfil-e-tarab barpa

ki bazm-e-gham-e-zadagan hai mujhe nahin malum

liye to phirta hun ek mausam-e-wajud ko main

bahaar hai ki KHizan hai mujhe nahin malum

wo rang-e-gul to usi KHak mein ghula tha kahin

magar mahak wo kahan hai mujhe nahin malum

KHabar to hai ki yahin qarya-e-malal bhi hai

ye kaun mahw-e-fughan hai mujhe nahin malum

main tujh se dur usi dasht-e-na-rasi mein hun gum

idhar tu nauha-kunan hai mujhe nahin malum

ye dagh-e-ishq jo miTta bhi hai chamakta bhi hai

ye zaKHm hai ki nishan hai mujhe nahin malum

guzarta jata hun ek arsa-e-gurez se main

ye la-makan ki makan hai mujhe nahin malum

rawan-dawan to hai ye ju-e-zindagi har dam

magar kidhar ko rawan hai mujhe nahin malum

ye kashmakash jo man-o-tu ke darmiyan hai so hai

miyan-e-sud-o-ziyan hai mujhe nahin malum

ye ku-e-KHak hai ya phir dayar-e-KHwab koi

zamin hai ki zaman hai mujhe nahin malum

yahin kahin pe wo KHush-ru tha aaj se pahle

magar wo aaj kahan hai mujhe nahin malum

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Yaqin Hai Ki Guman Hai Mujhe Nahin Malum in PDF.