Baghban Jashn-e-bahaaran Nahin Hone Dete

baghban jashn-e-bahaaran nahin hone dete

dip ulfat ke farozan nahin hone dete

zahr ulfat ka pilate hain baDe faKHr ke sath

aap insan ko insan nahin hone dete

KHud-numai mein kuchh is tarah giraftar hain hum

aur logon ko numayan nahin hone dete

aql ko shoKHi-e-baatil mein phansane wale

qalb ko sahib-e-iman nahin hone dete

gham se nisbat hai jinhen zabt-e-alam karte hain

ashk ko zinat-e-daman nahin hone dete

ruh-e-afkar ko mear ata karte hain

hum KHayalat ko uryan nahin hone dete

chand lamhe wo mere samne rah kar 'abrar'

chashm-e-betab ko hairan nahin hone dete

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghban Jashn-e-bahaaran Nahin Hone Dete In English By Famous Poet Abrar Kiratpuri. Baghban Jashn-e-bahaaran Nahin Hone Dete is written by Abrar Kiratpuri. Read famous Poem Baghban Jashn-e-bahaaran Nahin Hone Dete for youth and Student by Abrar Kiratpuri. Free Download Baghban Jashn-e-bahaaran Nahin Hone Dete in PDF.