Nai Hawa Mein Koi Rang-e-kaenat Mein Gum

nai hawa mein koi rang-e-kaenat mein gum

hua hai sara zamana tasannuat mein gum

gale ka haar kahin ban na jae mahrumi

na hona bhul ke husn-e-takallufat mein gum

kisi bhi shaKHs pe us ko taras nahin aata

amir-e-shahr hua hai ye kin sifat mein gum

har ek gul ko meri dastaras se dur kiya

meri nazar hai adu ki nawazishat mein gum

bashar bashar ne muqaffal kiya hai bab-e-amal

har ek zehn hua kaisi nafsiyat mein gum

kahin bhi rah-numa ab nazar nahin aata

main kya bataun ki hun kaun si jihat mein gum

husul-e-ilm mera muddaa hai ai 'abrar'

isi liye hun kitabon mein aur lughat mein gum

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Hawa Mein Koi Rang-e-kaenat Mein Gum In English By Famous Poet Abrar Kiratpuri. Nai Hawa Mein Koi Rang-e-kaenat Mein Gum is written by Abrar Kiratpuri. Read famous Poem Nai Hawa Mein Koi Rang-e-kaenat Mein Gum for youth and Student by Abrar Kiratpuri. Free Download Nai Hawa Mein Koi Rang-e-kaenat Mein Gum in PDF.