Numayan Jab Wo Apne Zehn Ki Taswir Karta Hai

numayan jab wo apne zehn ki taswir karta hai

har ek ahl-e-mohabbat ko bahut dil-gir karta hai

wo kyun masrur hota hai hamara KHun bahne se

sar-e-haq kis liye zalim tah-e-shamshir karta hai

wafa ka nam leta hai wafa-na-ashna ho kar

wo KHud ko intihai parsa tabir karta hai

jise mahrum hona hai wahi hai mutmain yaro

jo hai nusrat ka talib har qadam tadbir karta hai

har ek insan ke aamal bhi yaksan nahin hote

koi ghar toD deta hai koi tamir karta hai

sadaqat par kabhi un ka asar hone nahin pata

wo apne karnamon ki bahut tashhir karta hai

koi bhi masala 'abrar' hal hone nahin pata

masail wo hamare surat-e-kashmir karta hai

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Numayan Jab Wo Apne Zehn Ki Taswir Karta Hai In English By Famous Poet Abrar Kiratpuri. Numayan Jab Wo Apne Zehn Ki Taswir Karta Hai is written by Abrar Kiratpuri. Read famous Poem Numayan Jab Wo Apne Zehn Ki Taswir Karta Hai for youth and Student by Abrar Kiratpuri. Free Download Numayan Jab Wo Apne Zehn Ki Taswir Karta Hai in PDF.