Na Puchho Jaan Par Kya Kuchh Guzarti Hai Gham-e-dil Se

na puchho jaan par kya kuchh guzarti hai gham-e-dil se

qarar aana kahan ka sans bhi aati hai mushkil se

ba-har-surat safina Dub jata hai mohabbat ka

kabhi Takra ke tufan se kabhi Takra ke sahil se

ise kahte hain mahrumi use kahte hain nakaami

sar-e-manzil pahunch kar bhi hun ab tak dur manzil se

dil-e-betab pata hai sukun kab josh-e-ulfat mein

ye dariya maujzan ho ho ke Takraata hai sahil se

yahan tak rafta rafta baDh gaya ehsas-e-mahrumi

unhen dekha magar tishna-nazar uTTha hun mahfil se

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchho Jaan Par Kya Kuchh Guzarti Hai Gham-e-dil Se In English By Famous Poet Abrar Shahjahanpuri. Na Puchho Jaan Par Kya Kuchh Guzarti Hai Gham-e-dil Se is written by Abrar Shahjahanpuri. Read famous Poem Na Puchho Jaan Par Kya Kuchh Guzarti Hai Gham-e-dil Se for youth and Student by Abrar Shahjahanpuri. Free Download Na Puchho Jaan Par Kya Kuchh Guzarti Hai Gham-e-dil Se in PDF.