KHamosh Is Tarah Se Na Jal Kar Dhuan UTha

KHamosh is tarah se na jal kar dhuan uTha

ai shama kuchh to bol kabhi to zaban uTha

but ban ke chupke fitne na yun meri jaan uTha

munh mein agar zaban hai to lutf-e-zaban uTha

hai koson dur manzil-e-anjam-e-guftugu

tezi ke sath apne qadam ai zaban uTha

Dar hai yahi ki kashti-e-mazmun na Dub jae

rah rah ke itni maujen na bahr-e-zaban uTha

ab daur mein hai rindon ke paimana-e-kalam

phir aa gai bahaar phir abr-e-zaban uTha

kar is qadar na zauq-e-takallum ko sharmsar

apna sar-e-niyaz kabhi to zaban uTha

kahta hai 'qadr' dekh ke tere sukut ko

kuchh faeda kalam se bhi ai zaban uTha

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh Is Tarah Se Na Jal Kar Dhuan UTha In English By Famous Poet Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. KHamosh Is Tarah Se Na Jal Kar Dhuan UTha is written by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Read famous Poem KHamosh Is Tarah Se Na Jal Kar Dhuan UTha for youth and Student by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Free Download KHamosh Is Tarah Se Na Jal Kar Dhuan UTha in PDF.