Koh-e-gham Se Kya Gharaz Fikr-e-butan Se Kya Gharaz

koh-e-gham se kya gharaz fikr-e-butan se kya gharaz

ai subuk-rui tujhe bar-e-garan se kya gharaz

be-nishani-e-mohabbat ko nishan se kya gharaz

ai yaqin-e-dil tujhe wahm-o-guman se kya gharaz

nala-e-be-saut KHud banne laga mohr-e-sukut

be-zabani ko hamari ab zaban se kya gharaz

jauhar-e-zati hain us ki teziyan ai sang-dil

tegh-e-abru ko teri sang-e-fasan se kya gharz

jab mohabbat mein hui ruswai apni parda-dar

raaz se phir kya talluq raaz-dan se kya gharaz

jaan de kar zinda-e-jawed ho jata hai wo

maut ke KHwahan ko umr-e-jawedan se kya gharaz

main ye kahta hun ki donon mein zaruri lag hai

wo ye kahte hain zamin ko aasman se kya gharaz

dahr mein jo kuchh bhi hona tha wo ho kar hi raha

ab guzishta wardaton ke bayan se kya gharaz

jis mein qudrat KHud nishane par pahunch jaane ki ho

'qadr' phir us tir ko sai-e-kaman se kya gharaz

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koh-e-gham Se Kya Gharaz Fikr-e-butan Se Kya Gharaz In English By Famous Poet Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Koh-e-gham Se Kya Gharaz Fikr-e-butan Se Kya Gharaz is written by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Read famous Poem Koh-e-gham Se Kya Gharaz Fikr-e-butan Se Kya Gharaz for youth and Student by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Free Download Koh-e-gham Se Kya Gharaz Fikr-e-butan Se Kya Gharaz in PDF.