Numu To Pahle Bhi Tha Iztirab Maine Diya

numu to pahle bhi tha iztirab main ne diya

phir us ke zulm-o-sitam ka jawab main ne diya

wo ek Dubti aawaz-e-bazgasht ki aa

sawal main ne kiya tha jawab main ne diya

wo aa raha tha magar main nikal gaya kahin aur

sau zaKHm-e-hijr se baDh kar azab main ne diya

agarche honTon pe pani ki bund bhi nahin thi

sulagte lamhon ko ek sail-e-ab main ne diya

khula hai pahlu-e-pur-josh be-mahaba aa

ek aur mashwara-e-inqilab main ne diya

ye mujh se girya-e-bebak kyun nahin hota

to apne dard ko KHud pech-o-tab main ne diya

naKHil o kisht ko sairab main nahin karta

zamin ko qarz magar be-hisab main ne diya

badan KHud apni hi tajsim kar nahin pate

qarib aaya to aankhon ko KHwab main ne diya

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Numu To Pahle Bhi Tha Iztirab Maine Diya In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Numu To Pahle Bhi Tha Iztirab Maine Diya is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Numu To Pahle Bhi Tha Iztirab Maine Diya for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Numu To Pahle Bhi Tha Iztirab Maine Diya in PDF.