Shikast-e-ahd Par Is Ke Siwa Bahana Bhi Kya

shikast-e-ahd par is ke siwa bahana bhi kya

ki us ka koi nahin tha mera Thikana bhi kya

ye sach hai us se bichhaD kar mujhe zamana hua

magar wo lauTna chahe to phir zamana bhi kya

main har taraf hun wo aae shikar kar le mujhe

jahan hadaf hi hadaf ho to phir nishana bhi kya

wo chahta hai saliqe se baat karne lagun

jo itni sach ho banegi bhala fasana bhi kya

usi rawish par chalo zindagi guzar aaen

siwae is ke karen harf ko bahana bhi kya

jo lafz bhulna chahun wo yaad aata hai

meri saza ke liye aur taziyana bhi kya

ab us gali mein hai kya intizam ke laeq

to phir risala-e-dil ko karen rawana bhi kya

faraaz-e-mah bhi pahnaiyan bhi raushan hain

charagh jalta hai koi tah-e-KHazana bhi kya

jahan bhi jaun wahi intizar ki surat

wo mujh ko chahe magar itna walihana bhi kya

mera wajud nahin KHanqah se bahar

magar fishaar-e-ghazal mein ye sufiyana bhi kya

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikast-e-ahd Par Is Ke Siwa Bahana Bhi Kya In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Shikast-e-ahd Par Is Ke Siwa Bahana Bhi Kya is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Shikast-e-ahd Par Is Ke Siwa Bahana Bhi Kya for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Shikast-e-ahd Par Is Ke Siwa Bahana Bhi Kya in PDF.