Gaya To Husn Na Diwar Mein Na Dar Mein Tha

gaya to husn na diwar mein na dar mein tha

wo ek shaKHs jo mehman mere ghar mein tha

najat dhup se milti to kis tarah milti

mera safar to miyan dasht-e-be-shajar mein tha

gham-e-zamana ki nagan ne Das liya sab ko

wahi bacha jo teri zulf ke asar mein tha

khuli jo aankh to afsun-e-KHwab TuT gaya

abhi abhi koi chehra meri nazar mein tha

na aai ghar mein kabhi ek kiran bhi suraj ki

agarche mera makan wadi-e-sahar mein tha

mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'

khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gaya To Husn Na Diwar Mein Na Dar Mein Tha In English By Famous Poet Abul Mujahid Zahid. Gaya To Husn Na Diwar Mein Na Dar Mein Tha is written by Abul Mujahid Zahid. Read famous Poem Gaya To Husn Na Diwar Mein Na Dar Mein Tha for youth and Student by Abul Mujahid Zahid. Free Download Gaya To Husn Na Diwar Mein Na Dar Mein Tha in PDF.