Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi

qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi

ye kya KHabar thi bahaar-e-gulshan lahu mein Dubi hui milegi

jin ahl-e-himmat ke raston mein bichhae jate hain aaj kanTe

unhi ke KHun-e-jigar se rangin chaman ki har ek kali milegi

wo din bhi the jab andheri raaton mein bhi qadam rah-e-rast par the

aur aaj jab raushni mili hai to zist bhaTki hui milegi

nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya

jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi

kabhi to nasl-o-watan-parasti ki tirgi ko shikast hogi

kabhi to sham-e-alam miTegi kabhi to subh-e-KHushi milegi

wo hum nahin hain ki sirf apne hi ghar mein shamen jala ke baiThen

wahan wahan raushni karenge jahan jahan tirgi milegi

talash-e-manzil ka azm-e-mohkam dalil-e-manzil-rasi hai 'zahid'

qadam to apne baDhao aage khuli hui rah bhi milegi

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi In English By Famous Poet Abul Mujahid Zahid. Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi is written by Abul Mujahid Zahid. Read famous Poem Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi for youth and Student by Abul Mujahid Zahid. Free Download Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi in PDF.