Kuchh Aur Rang Main Tartib-e-KHushk-o-tar Karta

kuchh aur rang main tartib-e-KHushk-o-tar karta

zamin bichha ke hawa oDh ke basar karta

gul o shaguft ko aapas mein dastaras deta

aur aaine ke liye aaina sipar karta

charagh-e-kohna haTata fasil-e-murda se

giyah-e-KHam pe shabnam dabiz-tar karta

wo nim nan-e-KHunuk aab aur sag-e-ham-nam

main zer-e-sabz-shajar apna mustaqar karta

wo jis se shahr ki diwar be-nawishta hai

main us ki shaKH-e-tahayya ko be-samar karta

main chumta hua ek ahd-nama-e-mansuKH

kisi qadim samundar mein rahguzar karta

(762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aur Rang Main Tartib-e-KHushk-o-tar Karta In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Kuchh Aur Rang Main Tartib-e-KHushk-o-tar Karta is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Kuchh Aur Rang Main Tartib-e-KHushk-o-tar Karta for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Kuchh Aur Rang Main Tartib-e-KHushk-o-tar Karta in PDF.