Hum Kasi Se Puchhe Baghair Zinda Rahte Hain

KHanjar ke phal par

ek taraf tumhaara nam likha hai

aur dusri taraf mera

jinhen paDhna aata hai

hamein batate hain

hamein qatl kar diya jaega

jo daraKHt ugata hai

hamein ek seb de deta hai

hum KHanjar se seb ke

do TukDe kar dete hain

hum kisi se puchhe baghair zinda rahte hain

aur kisi ko batae baghair

mohabbat karte hain

main ne ginti sikhi

aur yaad rakha

tum tak pahunchne ke liye mujhe

kitni siDhiyan tai karni paDti hain

ek din tum ye sari siDhiyan

nazmon ki kitab mein rakh kar

mujhe de dogi

ek din main tumhein bataunga

samundar wahan se shurua hota hai

jahan se KHushki nazar aani KHatm ho jae

phir hum jab chahenge

nazmon ki kitab se

ek waraq phaD kar kashti bana lenge

aur

dusra waraq phaD kar

samundar

phir hum jab chahenge

zamin ki gardish rok kar

raqs karne lagenge

nachte hue aadmi ke dil ka nishana

mushkil se liya ja sakta hai

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Kasi Se Puchhe Baghair Zinda Rahte Hain In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Hum Kasi Se Puchhe Baghair Zinda Rahte Hain is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Hum Kasi Se Puchhe Baghair Zinda Rahte Hain for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Hum Kasi Se Puchhe Baghair Zinda Rahte Hain in PDF.