Jangal Ke Pas Ek Aurat

nind ke pas ek raat hai

mere pas ek kahani hai

jangal ke pas ek aurat thi

aurat bachcha paida karne ke dard se mar rahi thi

ek shikari wahan pahunch gaya

aur bachche ki aankhon ke ewaz

aurat ki madad karne par aamada ho gaya

aurat ne juDwan bachche jane

shikari ke hath

aankhon ki do joDiyan aain

is waqt sikke ijad nahin hue the

ek joDi aankh ke badle

zindagi bhar ka saman KHarida ja sakta tha

jo log dusron ki aankhen hasil nahin kar sakte

apni aankhon ka sauda kar lete

har saude ki tarah

bechte waqt

aankhon ki sirf aadhi qimat hasil hoti thi

aankhen bechne wale

sirf aadhi zindagi KHarid sakte the

aurat ne shikari se juda ho kar

apne bachchon ko jangal mein chhoD diya

jaisa ki us ne apne shauhar ko

samundar mein chhoD diya tha

bachche bheDiyon mein pal kar baDe hue

un mein se har ek

dusre ko

apni man ki kokh ka ghasib

aur apni aankhon ke saude ka bais samajhne laga

jab

bailon mein panw TuTne ki bimari phail jaane ki wajh se

andhe ghulamon ki mang baDh gai

ek burda-farosh

unhin bheDiyon ki ghol se chura le gaya

zamin mein jute hue andhe bhai

hal le kar itni muKHalif samt mein chalte ki

un ke aaqa ko

KHuda se darKHwast kar ke

ek khaDkhaDane wala sanp un ke pichhe lagana paDa

main bahut dinon pahle

us shahr ka muhasara karne aaya tha

mere parcham par rahne wala uqab uD gaya

mere sipahiyon ne

apni talwaren Taksalon mein bech din

ghoDe ne apni khaal

mashkiza banane wale ko hadiya kar di

shahar ki diwaron mein

shigaf kahan hai

ye us ke charwahon ko bhi malum hai

aur un ki bheDon ko bhi

magar ye jang

ghaddaron aur chau-pawn ko bhi KHarid kar nahin jitna chahta

main samundaron ko kashtiyon se

aur talwar ko talwar se napta hun

main ghulam aurat ka

ghulam mard se paida hui aulad nahin

jo ek ghulam shaKH se kaman

aur dusre ghulam shaKH se tir banata hai

main us khaDkhaDane wale sanp ko kuchal dunga

aur juDwan bhaiyon ke kandhe se juta utar kar

use gahri khai mein phenk dunga

main unhen le kar jangal mein nikal aaunga

aur us shikari ko talash karunga

jo bachcha paida karne ke ewaz us ki aankhen talab karta hai

aur us man ko talash karunga

jo baghair aankhon ke bachche ko chhoD kar bhag jati hai

ek din bechi hui aankhen

shikari se sauda-karda shaKHs ko pahchan lengi

aur andhe bachche

us aadmi se aahani aankhen chhin kar

apne shikari ko DhunDh nikalenge

aur shikari se us aurat ka pata puchh kar rahenge

jo unhen jangal mein chhoD kar chali gai thi

chahe wo aurat meri biwi hi kyun na ho

(1412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangal Ke Pas Ek Aurat In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Jangal Ke Pas Ek Aurat is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Jangal Ke Pas Ek Aurat for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Jangal Ke Pas Ek Aurat in PDF.