Wo Apne Aansu Ek Nazuk Hair Dryer Se Sukhati Hai

wo apne aansu

ek nazuk hair dryer se sukhati hai

jab us ki masnui palken

us ka badan chhupane mein nakaam ho jati hain

das naKHun-tarash

us ke naKHunon ki dekh-bhaal karte hain

wo bachchon ki tarah barte jaane se

tang aa chuki hai

pur-kashish badan ko milne wale tamghon ke darmiyan se

wo machhli ki tarah

tair kar nikal jati hai

apne talwon ke niche

wo gahrai aur drama chahti hai

us ke baal

shampoo ki shishi par likhi hui hidayat par

saKHti se amal karte hain

mahauliyati aaludgi ka KHayal karte hue

wo koi bosa nahin deti

us ka takiya

duniya ke tamam aashiqon ke aansu

jazb kar sakta hai

(825) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Wo Apne Aansu Ek Nazuk Hair Dryer Se Sukhati Hai In English By Famous Poet Afzal Ahmad Syed. Wo Apne Aansu Ek Nazuk Hair Dryer Se Sukhati Hai is written by Afzal Ahmad Syed. Read famous Poem Wo Apne Aansu Ek Nazuk Hair Dryer Se Sukhati Hai for youth and Student by Afzal Ahmad Syed. Free Download Wo Apne Aansu Ek Nazuk Hair Dryer Se Sukhati Hai in PDF.