Hijr Mein Itna KHasara To Nahin Ho Sakta

hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta

ek hi ishq dobara to nahin ho sakta

chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyan

shahr ka shahr hamara to nahin ho sakta

kab talak qaid rakhun aankh mein binai ko

sirf KHwabon se guzara to nahin ho sakta

raat ko jhel ke baiTha hun to din nikla hai

ab main suraj se sitara to nahin ho sakta

dil ki binai ko bhi sath mila le 'gauhar'

aankh se sara nazara to nahin ho sakta

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Mein Itna KHasara To Nahin Ho Sakta In English By Famous Poet Afzal Gauhar Rao. Hijr Mein Itna KHasara To Nahin Ho Sakta is written by Afzal Gauhar Rao. Read famous Poem Hijr Mein Itna KHasara To Nahin Ho Sakta for youth and Student by Afzal Gauhar Rao. Free Download Hijr Mein Itna KHasara To Nahin Ho Sakta in PDF.