Zamin Se Aage Bhala Jaana Tha Kahan Maine

zamin se aage bhala jaana tha kahan main ne

uThae rakkha yunhi sar pe aasman main ne

kisi ke hijr mein shab se kalam karte hue

diye ki lau ko banaya tha ham-zaban main ne

shajar ko aag kisi aur ne lagai thi

na jaane sans mein kyun bhar liya dhuan main ne

kabhi to aaenge us samt se gulab o charagh

ye nahr yun hi nikali nahin yahan main ne

meri to aankh mera KHwab TuTne se khuli

na jaane panw dhara nind mein kahan main ne

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Aage Bhala Jaana Tha Kahan Maine In English By Famous Poet Afzal Gauhar Rao. Zamin Se Aage Bhala Jaana Tha Kahan Maine is written by Afzal Gauhar Rao. Read famous Poem Zamin Se Aage Bhala Jaana Tha Kahan Maine for youth and Student by Afzal Gauhar Rao. Free Download Zamin Se Aage Bhala Jaana Tha Kahan Maine in PDF.