Aag Laga Di Pahle Gulon Ne Bagh Mein Wo Shadabi Ki

aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki

aai KHizan gulzar mein jab gul-barg se gulKHan-tabi ki

kunj-e-lahad mein mujh ko sula ke puchhte hain wo logon se

nind unhen ab aa gai kyun-kar kya hui jo bad-KHwabi ki

soch mein hain kuchh pas nahin kis tarah adam tak pahunchenge

aa ke safar darpesh hua hai fikr hai be-asbabi ki

abr hai giryan kis ke liye malbus siyah hai kyun is ka

sog-nashin kis ka hai falak kya wajh aba-e-abi ki

zer-e-mahal us shoKH ke ja ke panw jo hum ne phailae

sharm-o-haya ne uThne na di chilman jo chhuTi mahtabi ki

dil ka Thikana kya main bataun haal na is ka kuchh puchho

dur karo hoga wo kahin galiyon mein aur sai har babi ki

dil na hua pahle jo bismil loTne se kya matlab tha

dhum thi jab KHush-bashiyon ki ab shohrat hai betabi ki

shamon ka aaKHir haal ye pahuncha sabr paDa parwanon ka

kawwe uTha ke le gae din ko pai saza sartabi ki

ghunche KHajil hain zikr se us ke tang dahan hai aisa us ka

nam hua unaqa-e-zamana dhum uDi nayabi ki

bajre lagae logon ne la ke un ke baramad hone ko

ashkon ne mere rah-e-wafa mein aaj to wo sailabi ki

KHat nahin paDta mere gale par tishna-e-hasrat marta hun

tegh teri be-ab hui thin aarzuen KHush-abi ki

rahm hai lazim tujh ko bhi gulchin dil na dukha tu bulbul ka

nikhat-e-gul ne us se kashish ki tab na thi betabi ki

naza mein ya-rab KHanda-jabin hun ruh jo nikle KHush nikle

pesh-e-nazar aaen jo farishte surat ho aarabi ki

kalghi ki ja par taj mein rakh le zauq rahe pa-bosi ka

pae agar bilqis kahin taswir teri gurgabi ki

paDh ke wazifa ishq ka us ke tum jo taDap ke rote ho

ruh na ho tahlil 'sharaf' hasrat se kisi wahabi ki

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Laga Di Pahle Gulon Ne Bagh Mein Wo Shadabi Ki In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Aag Laga Di Pahle Gulon Ne Bagh Mein Wo Shadabi Ki is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Aag Laga Di Pahle Gulon Ne Bagh Mein Wo Shadabi Ki for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Aag Laga Di Pahle Gulon Ne Bagh Mein Wo Shadabi Ki in PDF.