Aalam Mein Hare Honge Ashjar Jo Main Roya

aalam mein hare honge ashjar jo main roya

gulchin nahin sinchenge gulzar jo main roya

barsega jo abr aa kar khul jaega dam bhar mein

aansu nahin thamne ke ai yar jo main roya

rooge jharoke mein tum hichkiyan le le kar

ai yar kabhi zer-e-diwar jo main roya

zaKHmi hun to hone do kyun yar bisorun main

kya baat rahi kha kar talwar jo main roya

hun mustaid-e-riqqat farhad mujhe bahla

le Dubenge tujh ko bhi kohsar jo main roya

majnun ne kaha jao wahshat unhen dikhlao

baiTha hua sahra mein be-kar jo main roya

rahm aa hi gaya un ko kaTwa de meri beDi

zindan mein chilla kar ek bar jo main roya

ki ghusse ke mare phir us ne na nigah sidhi

in ankhDiyon ka ho kar bimar jo main roya

betabi o zari par meri unhen rahm aaya

dikhla hi diya mujh ko didar jo main roya

aaram wo karte hain rulwa na mujhe ai dil

Thahrenge na wo ho kar bedar jo main roya

aae the ba-mushkil wo lae the 'sharaf' un ko

phir uTh gae wo ho kar bedar jo main roya

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam Mein Hare Honge Ashjar Jo Main Roya In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Aalam Mein Hare Honge Ashjar Jo Main Roya is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Aalam Mein Hare Honge Ashjar Jo Main Roya for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Aalam Mein Hare Honge Ashjar Jo Main Roya in PDF.