Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai

ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai

aadhi chhuTne ki hui tadbir aadhi rah gai

nim bismil ho ke main taDpa to wo kahne lage

chuk tujh se ho gai tazir aadhi rah gai

sham se thi aamad aamad nisf shab ko aae wo

yawari kar ke meri taqdir aadhi rah gai

nisf shahr us gesu-e-mushkin ne dil-basta kiya

KHusraw-e-tatar ki tauqir aadhi rah gai

chaudhwin shab na-mubarak mah-e-kaamil ko hui

nisf mansab ho gaya jagir aadhi rah gai

tez kab tak hogi kab tak baDh rakkhi jaegi

ab to ai qatil teri shamshir aadhi rah gai

aadhe dhaD ka dam nikalta tha ki aaya KHatt-e-shauq

paDhte paDhte mar gae tahrir aadhi rah gai

rang phirne bhi na paya tha ki KHud-rafta hua

ban ke 'mani' se teri taswir aadhi rah gai

nisf shab tak di tasalli phir wo yusuf uTh gaya

KHwab-e-hasrat ki meri tabir aadhi rah gai

KHud kaha qatil se main ne phir dobara zabh kar

kaT ke jab gardan dam-e-takbir aadhi rah gai

dopahar raat aa chuki jab guftugu ki ishq ki

yar se aadhi hui taqrir aadhi rah gai

imtihan mein kundani rang un ka duna ho gaya

uDte uDte surKHi-e-iksir aadhi rah gai

ai pari-ru jald zindan mein 'sharaf' ki le KHabar

TukDe kar ke phenk di zanjir aadhi rah gai

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai in PDF.