Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki

jawani aai murad par jab umang jati rahi bashar ki

nasib hote hi chaudhwin shab shikoh ruKHsat hui qamar ki

wo shoKH chitwan thi kis sitam ki ki jis ne chashmak kahin na kam ki

kisi taraf ko jo barq chamki to samjhe gardish use nazar ki

tera hi duniya mein hai fasana tera hi shaidai hai zamana

tere hi gham mein huin rawana nikal ke ruhen KHudai bhar ki

na aasman hai na wo zamin hai makan nahin wo jahan makin hai

payambaron ka guzar nahin hai rasai hai mere nama-bar ki

khincha jo tul-e-shab-e-judai andheri madfan ki yaad aai

nigah o dil par wo yas chhai umid jati rahi sahar ki

jo ishq-bazon ko aazmaya laga ke chhuriyan ye qahr Dhaya

yahan yahan tak lahu bahaya ki naubat aai kamar kamar ki

gire jo kuchh surKH gul zamin par kaha ye bulbul ne KHak uDa kar

hua hai wada mera barabar ye suraten hain mere jigar ki

maqam-e-ibrat hai aah ai dil KHuda hi ki hai panah ai dil

nahin hai kuchh zad-e-rah ai dil adam se takid hai safar ki

ye hum ne kaisa safar kiya hai musafiron ko rula diya hai

ajal ne aaghosh mein liya hai KHabar bhi hum ko nahin safar ki

wo jald ya-rab inhin ko take laga de do tir in par aa ke

ye donon rah jaen phaDphaDa ke main dekhun lashen dil o jigar ki

kisi ka mashuq chhuTta hai sahar ka waqt us ko luTta hai

koi ye sine ko kuTta hai nahin hai aawaz ye gajar ki

khicha hai zartar shamiyana gulon se aati hai bu shahana

dikha ke qudrat ka karKHana lahad ne hasrat bhula di ghar ki

ghashi ka aalam wo zor par hai mizaj-e-sehhat se be-KHabar hai

dawa ka ghaflat-zada asar hai KHabar dawa ko nahin asar ki

shabab ne KHud-numa banaya ye naz-e-KHushrui ne jataya

haya mein jis waqt farq aaya to un ke mukhDe se zulf sarki

hua hun chaurang tegh-e-hasrat ki dafn ki hai meri ye surat

kisi taraf ko hai dil ki turbat kahin hai turbat mere jigar ki

jo us ne zid ki to aafat aai duhai dene lagi KHudai

qayamat us bewafa ne Dhai idhar ki duniya 'sharaf' udhar ki

(1013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Jawani Aai Murad Par Jab Umang Jati Rahi Bashar Ki in PDF.