Kis Ke Hathon Bik Gaya Kis Ke KHaridaron Mein Hun

kis ke hathon bik gaya kis ke KHaridaron mein hun

kya hai kyun mashhur main saudai bazaron mein hun

gham nahin jo beDiyan pahne giraftaron mein hun

naz hai is par ki tere naz-bardaron mein hun

tere kuche mein jo mera KHun ho ai lala-ru

surKH-ru yaron mein hun gul-rang gulzaron mein hun

is qadar hai ai pari-ru zor par josh-e-junun

sar se toDun qaid agar lohe ki diwaron mein hun

ishq se matlab na tha dil zulf mein uljha na tha

tha jab aazadon mein tha ab to giraftaron mein hun

hogi mashuqon ko KHwahish mujh nahif-o-zar ki

gul karenge aarzu meri main un KHaron mein hun

dil ko dhamkana hai dhyan us nargis-e-bimar ka

jaan le kar chhoDta hun main un aazaron mein hun

us mere saude ka duniya mein Thikana hai kahin

jaan ka gahak jo hai us ke KHaridaron mein hun

kis se puchhun kya karun sayyaad ki marzi ki baat

taza warid hun qafas mein to giraftaron mein hun

aarzu hai main wo gul ho jaun ai rashk-e-chaman

bagh mein din bhar rahun shab ko tere haaron mein hun

aa gaya dam ziq mein lekin na ye sabit hua

kaun hai isa mera main kis ke bimaron mein hun

Dariye aisi aankh se jo saf ishaare se kahe

nargis-e-bimar hun par mardum-azaron mein hun

dil to main sadqa karun tum us pe meri jaan lo

tum hi munsif ho ki main aise gunahgaron mein hun

kaun hun kya hun kahan hun main nahin ye bhi KHabar

KHud-ghalat KHud-rafta hun main KHak hoshyaron mein hun

hai ye abru ka ishaara thi jahan ki zul-fiqar

ai 'sharaf' main us sulah-KHani ki talwaron mein hun

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ke Hathon Bik Gaya Kis Ke KHaridaron Mein Hun In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Kis Ke Hathon Bik Gaya Kis Ke KHaridaron Mein Hun is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Kis Ke Hathon Bik Gaya Kis Ke KHaridaron Mein Hun for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Kis Ke Hathon Bik Gaya Kis Ke KHaridaron Mein Hun in PDF.