Mausam-e-gul Mein Jo Ghir Ghir Ke GhaTaen Aain
mausam-e-gul mein jo ghir ghir ke ghaTaen aain
hosh uD jate hain jin se wo hawaen aain
chal base su-e-adam tum ne bulaya jin ko
yaad aai to gharibon ki qazaen aain
ruh tazi hui turbat mein wo ThanDi ThanDi
bagh-e-firdaus ki har su se hawaen aain
main wo diwana tha jis ke liye bazm-e-gham mein
ja-ba-ja bichhne ko pariyon ki ridaen aain
munkir-e-zulm jo jallad hue mahshar mein
KHud gawahi ke liye sab ki jafaen aain
mujrmon hi ko nahin zulm ka farman aaya
be-gunahon ko bhi likh likh ke sazaen aain
us ka diwana hun samjhati hain pariyan mujh ko
sar phirane ko kahan se ye balaen aain
tere bande hue ki jin se lagawaT tu ne
ai pari-ru tujhe kyunkar ye adaen aain
hashr mauquf kiya josh mein rahmat aai
zar nale ki jo har su se sadaen aain
lashkar-e-gul jo gulistan mein KHizan par umDa
sath dene ko pahaDon se ghaTaen aain
meri turbat pe kabhi dhup na aane pae
sham tak subh se ghir ghir ke ghaTaen aain
munh chhupane lage mashuq jawan ho ho kar
nek-o-bad ki samajh aai to hayaen aain
KHak uDane jo saba aai meri turbat par
sar paTakti hui rone ko ghaTaen aain
baKHsh di us ne mere baad jo poshak meri
qais o farhad ke hisson mein qabaen aain
rahaten samjhe hasinon ne jo izaen din
pyar aaya to pasand un ki jafaen aain
aa gaya rahm use din sab ki muraden us ne
aajizon ki jo sifarish ko duaen aain
mere sahra ki ziyarat ko hazaron pariyan
roz le le ke sulaiman ko razaen aain
ai 'sharaf' husn-paraston ko bula ke luTa
in hasinon ke dilon mein jo daghaen aain
(849) Peoples Rate This