Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein

raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein

base rahte hain jaise phul apni apni nikhat mein

khicha husn-e-wafa ho kar jo ye taswir-e-wahdat mein

KHuda ka nur shamil ho gaya insan ki surat mein

nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein

KHuda-malum hissa hai mera kis KHwan-e-neamat mein

safai-ruKH baDhi aisi hua aaina hairat mein

jawani mein nazar aane laga munh us ki surat mein

phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat mein

azal se parwarish hota hun main gulzar-e-rahmat mein

mahall-e-ishq mein jo KHun mushtaqon ka bahta hai

hua karti hain rang-ameziyan us ki imarat mein

karo aisi adaen hum se hum taswir ho jaen

rahen hum aur tum ek jaan do qalib ho ke KHalwat mein

mili hai meri qismat se mujhe neamat tawakkul ki

jo marghub-e-KHuda hain wo maze hain us ki lazzat mein

KHudai wajd karti hai jahan main chahchahata hun

hazaron mein hun ek bulbul tere gulzar-e-qudrat mein

namaz-e-panjgana mein bhi har ja zikr usi ka hai

tashahhud mein azan mein sajde mein niyyat mein rakat mein

machal jaane par us na-faham ke rahm us ko aaya hai

liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat mein

dil-azari ka ham-surat se apne mashwara lenge

ilahi KHair aaina talab hota hai KHalwat mein

mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhen DabDabaati hain

KHuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein in PDF.