Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge

salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge

yahi karishme hua kiye hain yahi karishme hua karenge

hamein jo be-jurm piste ho ye jaante ho ki kya karenge

KHuda ne chaha to surma ho kar tumhaari aankhon mein ja karenge

na rahne denge kabhi wo baham tapak dekhenge un mein jis dam

badan se KHarij karenge jaan ko jigar se dil ko juda karenge

chamak hai us mein mohabbatana ye be-qarari hai aashiqana

maza uThaenge dard-e-dil ka kabhi na is ki dawa karenge

baDha to hai rabt hum se tum se KHuda ne chaha to dekh loge

tumhaare pahlu mein yar dil ki tarah hamesha raha karenge

kisi ka ehsan hum na lenge kisi ko taklif kuchh na denge

KHuda ne paida kiya hai hum ko KHuda hi se iltija karenge

jab aaenge wo pae-ayaadat to hogi dil ko umid-e-sehhat

zamana mujh ko dua karega masih meri dawa karenge

nahin KHush-amal agar nahin hun farishte turbat mein KHashmagin hon

KHuda ki rahmat se mutmain hun ye kya karenge wo kya karenge

tamam hote hain dekh jaun jamal aa ke hamein dikhao

tumhaare gham mein labon pe dam hai koi ghaDi mein qaza karenge

rahegi yaad un ki KHush-KHirami mera suKHan hai ye la-kalami

qadam na parde se wo nikalen meri nazar mein phira karenge

rulae jati hai un ki hasrat chali hi aati hai mujh ko riqqat

rahengi kahe ko meri aankhen jo yunhi aansu baha karenge

mila hai aaram aashiyan ka nahin kuchh andesha baghban ka

riha bhi honge to aa ke akasr hum is qafas mein raha karenge

kahin Thikana nahin hamara tumhaari shafqat ka hai sahaara

gharib hain do hamein dilasa tumhaare haq mein dua karenge

laraz rahe hain satane wale KHuda ke aage kai hain nale

gurez un se karega mahshar ye wo qayamat bapa karenge

agar chhuTe bhi qafas se bulbul karegi barbaad hasrat-e-gul

rasai hogi na aashiyan tak chaman mein tinke chuna karenge

qubul hogi dua hamari karenge jis dam hum aah-o-zari

kabhi na jaegi upar upar hamari hajat rawa karenge

nigahen un par jo hum ne Dalin unhon ne aankhen 'sharaf' nikalin

sitam ye Dhaya hai kam-sini mein jawan ho ke wo kya karenge

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge in PDF.