Tere Aalam Ka Yar Kya Kahna

tere aalam ka yar kya kahna

har taraf hai pukar kya kahna

uff na ki dard-e-hijr zabt kiya

ai dil-e-be-qarar kya kahna

wada-e-wasl un se lun kyun-kar

mera kya iKHtiyar kya kahna

kya hi nairangiyan dikhai hain

mere bagh-o-bahaar kya kahna

kaise aashiq hain un se jab puchha

bole be-iKHtiyar kya kahna

musht par bhi gulon ke gard rahe

aafrin ai hazar kya kahna

tirchhi nazren chhuri kaTari hain

chashm-e-bad-dur yar kya kahna

gulshanon mein ye rang-rup kaha

la-jawab ai nigar kya kahna

dam-e-isa ko mat karti hai

ai nasim-e-bahaar kya kahna

imtihan kar chuke to wo bole

ai mere jaan-nisar kya kahna

us ke kuche mein baiTh kar na uTha

wah mere ghubar kya kahna

jaante hain ki jaan doge 'sharaf'

us ko phir bar bar kya kahna

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Aalam Ka Yar Kya Kahna In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Tere Aalam Ka Yar Kya Kahna is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Tere Aalam Ka Yar Kya Kahna for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Tere Aalam Ka Yar Kya Kahna in PDF.