Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-e-dil To Kya Karun

tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kya karun

laila ke na-pasand ho mahmil to kya karun

Thahre na KHun-baha su-e-qatil to kya karun

haq ho jo KHud-baKHud mera baatil to kya karun

ek rang ko jahan mein nahin koi manta

har rang mein rahun na main shamil to ya karun

piswaun be-gunah jo dil ko hina ke sath

pursan-e-haal ho koi aadil to kya karun

parwana hone ki bhi ijazat nahin mujhe

aalam-fareb hai teri mahfil to kya karun

jata gulu-burida bhi uD kar gulon ke pas

bazu gaya hai toD ke bismil to kya karun

laila ye kah ke jalwa dikhati hai qais ko

uDne lage jo parda-e-mahmil to kya karun

KHud chahta hun zabt karun dard-e-shauq main

dil hi mera na ho mutahammil to kya karun

munh chum lun ki gird phirun dauD dauD ke

ai dil jo hath rok le qatil to kya karun

dam rah-e-shauq-o-zauq mein leta nahin kahin

is par bhi tai na ho jo ye manzil to kya karun

kyun-kar na jabr dil pe karun apne iKHtiyar

rahat mein aa paDe koi mushkil to kya karun

ek ek se puchhte hain wo aaina dekh kar

mashuq paun pyar ke qabil to kya karun

de dun main rah-e-ishq mein jaan us ke nam par

na-chaar hun na ho koi sail to kya karun

Tanke jigar ke zaKHm mein kyunkar lagane dun

gul tere bagh ka ho muqabil to kya karun

aane ko mana karte ho achchha na aaunga

ye to kaho na mane mera dil to kya karun

shayad mujhe jamal dikha de wo ai kalim

nazzare ka na hun mutahammil to kya karun

mar jaun Dub kar 'sharaf' us par yar hai

kashti na ho koi lab-e-sahil to kya karun

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-e-dil To Kya Karun In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-e-dil To Kya Karun is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-e-dil To Kya Karun for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-e-dil To Kya Karun in PDF.