Chori Kahin Khule Na Nasim-e-bahaar Ki

chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki

KHush-bu uDa ke lai hai gesu-e-yar ki

allah rakkhe us ka salamat ghurur-e-husn

aankhon ko jis ne di hai saza intizar ki

gulshan mein dekh kar mere mast-e-shabab ko

sharmai jari hai jawani bahaar ki

ai mere dil ke chain mere dil ki raushni

aa aur subh kar de shab-e-intizar ki

jurat to dekhiyega nasim-e-bahaar ki

ye bhi balaen lene lagi zulf-e-yar ki

ai 'hashr' dekhna to ye hai chaudhwin ka chand

ya aasman ke hath mein taswir yar ki

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chori Kahin Khule Na Nasim-e-bahaar Ki In English By Famous Poet Agha Hashr Kashmiri. Chori Kahin Khule Na Nasim-e-bahaar Ki is written by Agha Hashr Kashmiri. Read famous Poem Chori Kahin Khule Na Nasim-e-bahaar Ki for youth and Student by Agha Hashr Kashmiri. Free Download Chori Kahin Khule Na Nasim-e-bahaar Ki in PDF.