Aawaz Ka Uski Zer-o-bam Kuchh Yaad Raha Kuchh Bhul Gae

aawaz ka us ki zer-o-bam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

kitna dilkash tha mera sanam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

kis darja hasin tha wo lamha jo qissa-e-parina hai ab

jab us ki nazar mein the bas hum kuchh yaad raha kuchh bhul gae

go aise lamhe kam aae lekin hain wo mera sarmaya

kab kab wo hua mail-ba-karam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

wo ruThne aur manane ka ehsas abhi tak baqi hai

kya kya the us ke qaul-o-qasam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

wo KHwab dikhata tha mujh ko main is pe bharosa karta tha

qaim na raha wadon ka bharam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

aae ho abhi jate ho kahan is ka ye kahna abhi aaya

kar dena meri phir nak mein dam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

ye bhuli-bisri yaaden hain sarmaya-e-zist mera 'barqi'

kis tarah karun mein is ko raqam kuchh yaad raha kuchh bhul gae

(1896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawaz Ka Uski Zer-o-bam Kuchh Yaad Raha Kuchh Bhul Gae In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Aawaz Ka Uski Zer-o-bam Kuchh Yaad Raha Kuchh Bhul Gae is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Aawaz Ka Uski Zer-o-bam Kuchh Yaad Raha Kuchh Bhul Gae for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Aawaz Ka Uski Zer-o-bam Kuchh Yaad Raha Kuchh Bhul Gae in PDF.