Amn-o-sulh-o-ashti Ho Jaise Bimari Ka Nam

amn-o-sulh-o-ashti ho jaise bimari ka nam

hai siyasat ahd-e-nau mein ek ayyari ka nam

in ka zahir aur baatin dekh kar aisa laga

parsai jaise ho shayad riya-kari ka nam

jo zamana saz hain, hain sab ke manzur-e-nazar

hai taghazzul mein tarannum aaj fankari ka nam

gardish-e-haalat se hai band jin ka natiqa

wo zaban-e-haal se lete hain bekari ka nam

hai girani ka wo aalam al-aman o al-hafiz

Darte hain lete hue ab sab KHaridari ka nam

shoKHi-e-guftar mein kah jate hain wo kuchh se kuchh

dosti in ki nazar mein hai dil-azari ka nam

pur-masarrat zindagi hai aaj kal KHwab-o-KHayal

hai zaban par in dinon sab ki aza-dari ka nam

kya kushud-e-kar ki 'barqi' koi surat nahin

sab ke hai wird-e-zaban ab sirf dushwari ka nam

(1054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amn-o-sulh-o-ashti Ho Jaise Bimari Ka Nam In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Amn-o-sulh-o-ashti Ho Jaise Bimari Ka Nam is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Amn-o-sulh-o-ashti Ho Jaise Bimari Ka Nam for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Amn-o-sulh-o-ashti Ho Jaise Bimari Ka Nam in PDF.