Ibn-e-adam Barsar Paikar Hai

ibn-e-adam barsar paikar hai

garm zulm-o-jaur ka bazar hai

dandanate phir rahe hain shar-pasand

kaun aaKHir is ka zimmedar hai

bo raha hai bughz wa nafrat ke wo bij

jis ki apni zehniyat bimar hai

hai aziz apna use shaKHsi mafad

maslahat-bin aaj ka fankar hai

KHun-e-insan ki tijarat ke liye

jis ko apna faeda darkar hai

karta hai barham nizam zindagi

sirf mal-o-zar se us ko pyar hai

dekh kar chaliye zara dam-e-fareb

wo shikari darpai-e-azar hai

rakhiye gird-o-pesh par apne nazar

gul ke pahlu mein wo dekhen KHar hai

jis ki nazron mein barabar hon sabhi

mulk-o-millat ka wahi meamar hai

haq ne di hai aap ko wo aql-e-kul

jo mohabbat ki alam-bardar hai

aao mil-jul kar use hum tai karen

zindagi ka jo safar dushwar hai

bhai chaare ki faza qaem karen

aap ka 'barqi' yahi gham-KHwar hai

(1487) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ibn-e-adam Barsar Paikar Hai In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Ibn-e-adam Barsar Paikar Hai is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Ibn-e-adam Barsar Paikar Hai for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Ibn-e-adam Barsar Paikar Hai in PDF.