Kaun Hai Kis Ka Ye Paigham Hai Kya Arz Karun

kaun hai kis ka ye paigham hai kya arz karun

zindagi nama-e-gumnam hai kya arz karun

de ke wo dawat-e-nazzara jahan phir na mila

ye wahi jalwa-gah-e-am hai kya arz karun

zindagi us ne badal kar meri rakh di aisi

na mujhe chain na aaram hai kya arz karun

hasrat-o-yas ka maskan hai mera KHana-e-dil

suna suna ye dar-o-baam hai kya arz karun

aage pichhe hai mere ek masaib ka hujum

aaj nakaami bahar-gam hai kya arz karun

meri qismat mein likhi tishna-labi hai shayad

us ke hathon mein bhara jam hai kya arz karun

jab se wo KHana-bar-andaz hai sargarm-e-amal

jis taraf dekhiye kohram hai kya arz karun

subh-e-ummid kab aaegi na jaane 'barqi'

muztarib dil ye sar-e-sham hai kya arz karun

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Hai Kis Ka Ye Paigham Hai Kya Arz Karun In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Kaun Hai Kis Ka Ye Paigham Hai Kya Arz Karun is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Kaun Hai Kis Ka Ye Paigham Hai Kya Arz Karun for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Kaun Hai Kis Ka Ye Paigham Hai Kya Arz Karun in PDF.