Main Soz-e-darun Apna Dikha Bhi Nahin Sakta

main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta

kya mujh pe guzarti hai bata bhi nahin sakta

raushan hai isi se mera kashana-e-hasti

is sham-e-mohabbat ko bujha bhi nahin sakta

hai bar-e-samaat use izhaar-e-tamanna

ye haal-e-zabun us ko suna bhi nahin sakta

zinda hai zamir apna abhi, samne us ke

apna sar-e-taslim jhuka bhi nahin sakta

had hoti hai ek naz uThane ki kisi ke

ye bar-e-garan ab main uTha bhi nahin sakta

is haal mein kab tak yunhi ghuT ghuT ke jiyunga

ruTha hai wo aise ki mana bhi nahin sakta

tha ghair jise apna samajhta tha bahi-KHwah

ab mahfil-e-yaran wo saja bhi nahin sakta

nafiz hai zaban-bandi ka dastur abhi tak

kya dil pe guzarti hai bata bhi nahin sakta

har waqt tasawwur mein hai jo azmat-e-rafta

khoya hua eazaz wo pa bhi nahin sakta

KHwabon mein hasin taj-mahal karta hai tamir

apne liye ek ghar jo bana bhi nahin sakta

kyun nind uData hai wo 'barqi' ki ab us se

wo wada-e-farda jo nibha bhi nahin sakta

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Soz-e-darun Apna Dikha Bhi Nahin Sakta In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Main Soz-e-darun Apna Dikha Bhi Nahin Sakta is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Main Soz-e-darun Apna Dikha Bhi Nahin Sakta for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Main Soz-e-darun Apna Dikha Bhi Nahin Sakta in PDF.