Nazar Bacha Ke Wo Humse Guzar Gae Chup-chap

nazar bacha ke wo hum se guzar gae chup-chap

abhi yahin the na jaane kidhar gae chup-chap

hui KHabar bhi na hum ko kab aae aur gae

nigah-e-naz se dil mein utar gae chup-chap

dikhai ek jhalak aur ho gae ru-posh

tamam KHwab achanak bikhar gae chup-chap

ye dekhne ke liye muntazir hain kya wo bhi

dayar-e-shauq mein hum bhi Thahar gae chup-chap

karenge aisa wo is ka na tha hamein ehsas

wo qaul-o-feal se apne mukar gae chup-chap

fasil-e-shahr ke bahar nahin kisi ko KHabar

bahut se ahl-e-hunar yunhi mar gae chup-chap

dikha rahe the hamein sabz bagh wo ab tak

unhen jo karna tha 'barqi' wo kar gae chup-chap

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Bacha Ke Wo Humse Guzar Gae Chup-chap In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Nazar Bacha Ke Wo Humse Guzar Gae Chup-chap is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Nazar Bacha Ke Wo Humse Guzar Gae Chup-chap for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Nazar Bacha Ke Wo Humse Guzar Gae Chup-chap in PDF.