Sukun-e-qalb Kisi Ko Nahin Mayassar Aaj
sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj
shikast-e-KHwab hai har shaKHs ka muqaddar aaj
hai waz-e-haal meri kyun ye bad se bad-tar aaj
amir-e-shahr ke badle hue hain tewar aaj
har ek shaKHs hai apne hisar mein mahsur
hai sab ke dar-pae-azar wo sitamgar aaj
kiya hai gardish-e-dauran ne dar-ba-dar sab ko
jo sar mein pahle tha wo panw mein hai chakkar aaj
samajh raha tha jise KHair-KHwah main apna
wahi hai dushman-e-jaan mera sab se baDh kar aaj
fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar
nahin hai jin se shanasa koi bhi bahar aaj
dikha raha hai mujhe sabz bagh jo 'barqi'
wo le ke phirta hai kyun aastin mein KHanjar aaj
(1309) Peoples Rate This