TaKHta-e-mashq-e-sitam Mujhko Banane Wala

taKHta-e-mashq-e-sitam mujh ko banane wala

tha wahi roz mere KHwab mein aane wala

muntashir kar diya shiraaza-e-hasti jis ne

KHana-e-dil ko mere tha wo sajaane wala

roz karta raha wo wada-e-farda mujh se

umr bhar ahd-e-wafa tha jo nibhane wala

us ne manjdhaar mein kashti ko meri chhoD diya

tha jo tufan-e-hawadis se bachane wala

pahle karta tha pas-e-parda meri beKH-kuni

kaamyabi ka meri jashn manane wala

sabiqa jis se paDa maslahat-andesh tha wo

dost hota nahin har hath milane wala

mar Dale na ye tanhai ka ehsas mujhe

muntazir jis ka tha ab wo nahin aane wala

jis se dil-jui ki ummid thi nikla wo raqib

jis ko dekho hai wahi mujh ko satane wala

aish-o-ishrat ke sada KHwab dikhata tha use

ghamza-o-naz se 'barqi' ko lubhane wala

(977) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaKHta-e-mashq-e-sitam Mujhko Banane Wala In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. TaKHta-e-mashq-e-sitam Mujhko Banane Wala is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem TaKHta-e-mashq-e-sitam Mujhko Banane Wala for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download TaKHta-e-mashq-e-sitam Mujhko Banane Wala in PDF.