Ye Jahan-e-ab-o-gil Lagta Hai Ek Maya Mujhe

ye jahan-e-ab-o-gil lagta hai ek maya mujhe

har-qadam par justuju ne jis ki bahkaya mujhe

zindagi-bhar mere apnon ne diya mujh ko fareb

the jo begane unhon ne aa ke apnaya mujhe

wada-e-imroz-o-farda mein ulajh kar rah gaya

zindagi-bhar sabz-bagh ek aisa dikhlaya mujhe

ek muamma jaise ho sab ke liye mera wajud

har kisi ne apne apne zarf tak paya mujhe

jis ko dekho gardish-e-haalat ka hai wo shikar

har koi jaise nazar aata ho ghabraya mujhe

ahl-e-duniya ne diye hain is qadar mujh ko fareb

karta hai wahshat-zada ab apna hi saya mujhe

us ki zulf-e-KHam-ba-KHam se ab nikalna hai muhaal

ghamza-o-naz-o-ada se aisa uljhaya mujhe

ab jahan koi nahin mere liye rah-e-farar

mera jazb-e-shauq aaKHir kis jagah laya mujhe

jaun to jaun kahan koi nahin hai KHizr-e-rah

umr-bhar josh-e-junun ne mere taDpaya mujhe

ab uData hai meri sahra-nawardi ka mazaq

ishq karne ke liye tha jis ne uksaya mujhe

kar di sab apni mata-e-zindagi jis par nisar

ye jahan-e-rang-o-bu hargiz na ras aaya mujhe

main samajhta tha jise apna rafiq-e-zindagi

taKHta-e-mashq-e-sitam us ne hi banwaya mujhe

tha mera jo hashiya-bardar 'barqi'-azami

us ne hi tauq-e-ghulami aa ke pahnaya mujhe

(2185) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jahan-e-ab-o-gil Lagta Hai Ek Maya Mujhe In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Ye Jahan-e-ab-o-gil Lagta Hai Ek Maya Mujhe is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Ye Jahan-e-ab-o-gil Lagta Hai Ek Maya Mujhe for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Ye Jahan-e-ab-o-gil Lagta Hai Ek Maya Mujhe in PDF.