Ro PaDa Na-gahan Muskurane Ke Baad

ro paDa na-gahan muskurane ke baad

yaad aai bahut us ki jaane ke baad

meri aankhen khuli ki khuli rah gain

wo nazar aaya jab ek zamane ke baad

ruh parwar tha is ka ye tarz-e-amal

ruTh jaana dobara manane ke baad

dil ko dil se milati hai ye dil-lagi

us ka hona pasheman satane ke baad

talKH-o-shirin hai rudad-e-dil-bastagi

munkashif ye hua aazmane ke baad

shaKHsiyat ka meri ban gaya ek juz

mere qalb-o-jigar mein samane ke baad

hai ye 'barqi' hasinon ki fitrat ka juz

wada kar ke na aana bulane ke baad

(1281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ro PaDa Na-gahan Muskurane Ke Baad In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Ro PaDa Na-gahan Muskurane Ke Baad is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Ro PaDa Na-gahan Muskurane Ke Baad for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Ro PaDa Na-gahan Muskurane Ke Baad in PDF.