Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya

tha jo mere zauq ka saman aadha rah gaya

bahr-e-dil mein ishq ka tufan aadha rah gaya

main idhar bechain hun aur wo udhar hai muztarib

dastan-e-ishq ka unwan aadha rah gaya

chand lamhe baad hi aa kar wo ruKHsat ho gaya

us se milne ka tha jo arman aadha rah gaya

us ki taswir-e-tasawwur hai nazar ke samne

KHana-e-dil mein jo tha mehman aadha rah gaya

tishna-e-takmil hai mere sawalon ka jawab

main samajhta tha jise aasan aadha rah gaya

ibn-e-adam ki kabhi puri nahin hoti hawas

wo samajhta hai abhi saman aadha rah gaya

ilm zahir aur baatin lazim-o-malzum hain

jo na samjhe us ko wo insan aadha rah gaya

apni apni sarhadon se hain sabhi na-mutmain

chin aadha rah gaya japan aadha rah gaya

sab ki Dafli hai alag aur sab ka apna rag hai

shaiKH aadha rah gaya aur KHan aadha rah gaya

naqidon ke darmiyan hai in dinon mauzu-e-bahs

'mir' aur 'ghaalib' ka jo diwan aadha rah gaya

sher likh sakta nahin jo kar raha hai is ki sharh

sher-fahmi ka tha jo rujhan aadha rah gaya

kah raha hai jis ki nazron mein barabar hain sabhi

is amir-e-shahr ka farman aadha rah gaya

hai kabhi nime darun wo aur kabhi nime barun

aadmi ka aaj-kal iman aadha rah gaya

ek jhalak dikhla ke apni jo kabhi lauTa nahin

us ke 'barqi' hijr mein be-jaan aadha rah gaya

(1738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya In English By Famous Poet Ahmad Ali Barqi Azmi. Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya is written by Ahmad Ali Barqi Azmi. Read famous Poem Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya for youth and Student by Ahmad Ali Barqi Azmi. Free Download Tha Jo Mere Zauq Ka Saman Aadha Rah Gaya in PDF.