Siyah-raat Pasheman Hai Ham-rakabi Se
siyah-raat pasheman hai ham-rakabi se
wo raushni hai tere gham ki mahtabi se
saba ke hath hai ab izzat-e-nigah meri
chaman mahakne laga gul ki be-hijabi se
farar un se hai mushkil wo dastaras mein nahin
ye zard zard se mausam wo din gulabi se
lahu lahu nazar aati hai shaKH-e-gul mujh ko
khile wo phul teri taza inqilabi se
ajab nahin hai ki pa jaen qafile manzil
hamare naqsh-e-qadam ki sitara-tabi se
koi kitab jo kholen to kya paDhen 'faKHir'
khulin nigah mein chehre agar kitabi se
(1796) Peoples Rate This