Zanjiron Se Bandha Hua Har Ek Yahudi Takta Tha

zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha

koson dur se babul ka raushan minar chamakta tha

ghaar ki rangin taswiron ko aur zamane dekhenge

hum ne bas wo naqsh kiya jo us lamhe ban sakta tha

ek shaffaf dariche mein kuchh rang birange manzar the

gul-danon mein phul farozan aatish-dan bhaDakta tha

main jis masnad par tha wo to ek goshe mein rakkhi thi

aur daricha chupke se manzar ki samt sarakta tha

barish chhappar tez hawaen misri jaise sindhi git

yar sarae ke chulhe par miTha qahwa pakta tha

jangal ganw parinde insan qisse mein sab lakhon the

sayyare ka suraj lekin tanhai mein yakta tha

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zanjiron Se Bandha Hua Har Ek Yahudi Takta Tha In English By Famous Poet Ahmad Jahangeer. Zanjiron Se Bandha Hua Har Ek Yahudi Takta Tha is written by Ahmad Jahangeer. Read famous Poem Zanjiron Se Bandha Hua Har Ek Yahudi Takta Tha for youth and Student by Ahmad Jahangeer. Free Download Zanjiron Se Bandha Hua Har Ek Yahudi Takta Tha in PDF.