Barae-zeb Usko Gauhar-o-aKHtar Nahin Lagta

barae-zeb us ko gauhar-o-aKHtar nahin lagta

wo KHud ek chand hai aur chand ko zewar nahin lagta

KHudaya yun bhi ho ki us ke hathon qatl ho jaun

wahi ek aisa qatil hai jo pesha-war nahin lagta

agar aariz-parasti ka amal ek jurm banta hai

saza bhi kaT lenge kaTne se Dar nahin lagta

mohabbat tir hai aur tir baatin chhed deta hai

magar niyyat ghalat ho to nishane par nahin lagta

rais-e-shahr ho kar bhi wo itna jhuk ke milta hai

ki us ke samne koi bhi qad-awar nahin lagta

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barae-zeb Usko Gauhar-o-aKHtar Nahin Lagta In English By Famous Poet Ahmad Kamal Parwazi. Barae-zeb Usko Gauhar-o-aKHtar Nahin Lagta is written by Ahmad Kamal Parwazi. Read famous Poem Barae-zeb Usko Gauhar-o-aKHtar Nahin Lagta for youth and Student by Ahmad Kamal Parwazi. Free Download Barae-zeb Usko Gauhar-o-aKHtar Nahin Lagta in PDF.